Saturday, January 16, 2010

sarhad paar se...

Gulzar recites...

Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha
Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain

Aankhon se maanoos the saarey
Chehre saarey sune sunaaye
Paanv dhoye, Haath dhulaye
Aangan mein aasan lagwaaye...
Aur tannoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye

Potli mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki faslon ka gud laaye the

Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
Haath lagakar dekha to tandoor abhi tak bujha nahin tha
Aur hothon pe meethe gud ka zaayka ab tak chipak raha tha

Khwab tha shayad!
Khwab hi hoga! !

Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli
Sarhad par kal raat, suna hai
Kuchh khwaabon ka khoon hua hai

No comments: